Tuesday, April 30, 2013

Manjil- Beginning from the end.



Har kashti ko kinara milta hai
Dubte huey ko tinke ka shara milta hai
Jajba ho jeet ka toh har kaam asan lagta hai.

Chod vyarth ki chinta
Oddh mehnat ka ghungta
Apni parchyai se kar guftgu
Rah pakad aura age bad ja tu.

Kathnayion mein mat baha tu aansu
Haar ke pareshani se mat beth ja tu
Pahado ko cheer ke udh ja tu
Badlon pe beth ke sawari kart tu. 

Ek na ek din sab badlega,
Tujhe bhi wohi milega jo tu chahega.
Kuch khoyega par kuch jarur payega
Mehanat se he apni kashti ko kinare laga payega.

2 comments: